Rabu, 03 Februari 2016

ZAROORI THA LYRICS

ZAROORI THA LYRICS – Rahat Fateh Ali Khan Feat. Gauhar Khan, Kushal Tandon

Zaroori Tha - Back 2 Love

Zaroori Tha Lyrics of Rahat Fateh Ali Khan’s New Album Back 2 Love: Its music video features love-birds Gauhar Khan & Kushal Tandon. The song is composed by very talented musician from Pakistan – Sahir Ali Bagga while lyrics has been beautifully penned by Khalil-ur-Rehman Qamar.

Singer: Rahat Fateh Ali Khan

Music Composer: Sahir Ali Bagga

Lyrics: Khalil-ur-Rehman Qamar

Starring: Gauhar Khan, Kushal Tandon

Music Label: Universal Music

Zaroori Tha Lyrics

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge

Tune jab aakhiri khat mera jalaya… hoga

Tune jab phool, kitabon se nikaale honge

Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

 

Teri aankhon ke dariya ka

utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi

Bichadna bhi zaroori tha

Zuroori tha ki

Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu’on ka

bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka

utarna bhi zaroori tha

 

Bataao yaad hai tumko

Woh jab dil ko churaya tha

Churaai cheez ko tumne

Khuda ka ghar banaya tha

Woh jab kehte thhe

Mera naam tum tasbih mein padhte ho

Mohabbat ki Namaazo ko

qara karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai

Woh baatein thi mahaz baatein

Kahin baaton hi baaton mein

Mukarna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka

Utarna bhi zaroori tha

 

Wahi hai sooratein apni

Wahi main hoon, wahi tum ho

Magar khoya huaa hoon main

Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagha ki thi

So kaafir the so kaafir hain

Mili hain manzilein phir bhi

Musaafir thhe, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum

Kahaan bhatke, kahaan pahunche

Magar bhatke toh yaad aaya

Bhatakna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi

Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki

Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu’on ka

Bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka

Utarna bhi zaroori tha

Tidak ada komentar:

Posting Komentar